Thursday, 7 April 2011

Kiya hai tum ne hum se Ek waada yaad rakhna Bhool na jaana kahin apna irada yaad rakhna

Kiya hai tum ne hum se Ek waada yaad rakhna
Bhool na jaana kahin apna irada yaad rakhna

Ab na hamain rulana tum , ab na door jaana tum
Pehle hi seh chuke hain dukh itne ziyada yaad rakhna

Dil to na dukhao ge mujhay choor to na jao ge
Dil main hi base ho tum ab isse abaad rakhna

Tum jo choor jao ge hum to mar hi jayen ge
Tumhare dam se zindagi hai sirf itna yaad rakhna

Chahaton ki duniya main roshni tumhi se hai
Dil toor kar hamain choor kar kahin na jaana yaad rakhna

Dete hai kyu yeh dard bas hami ko

Dete hai kyu yeh dard bas hami ko,
kya samjhenge woh in aankho ki nami ko,
Lakho deewane ho jis chand ke,
woh kya mehsus karenge ek tare ki kami ko....

MEHNAT-MAZDOORI

Is mehangai k dour mai logo ko kya kya karna parh jata haii . .
                                         shexii
agay-peechay na dekh,bailchaa uthaa shuruu hojaaa.....

KYA LIKHUN MAI AAJ YAAD ME TERI, KYA MAANGU MAI AAJ FARYAAD ME MERI.

KYA LIKHUN MAI AAJ YAAD ME TERI,
KYA MAANGU MAI AAJ FARYAAD ME MERI.

CHAHTA TO BAHUT KUCH HUN KHUDA SE MERE,
LEKIN KASHMA KASH ME HAI ZINDAGI YE MERI.


JAB DEKHA PEHLI BAAR TUJHE TO DIL SE YE FARYAAD NIKLI,
PAAUNGA TO SIRF TUJHE WARNA AE KHUDA YE MERI JAAN HAI TERI.


YAARON NE KAHA YE KYA KIYA TUNE SAATH ME MAANGI MAUT APNI,
MAINE KAHA MERE SAATH TO KHUDA HAI WO ZAROOR BANEGE MERI.


LEKIN DHEERE DHEERE WO MUJH SE DOOR HONE LAGI,
MAINE SAMJHA HOGI USKI BHI KOI MAJBOORI.


IDHAR MAI BE KHABAR USKE INTZAAR ME BAITHA,
MAJBURI ME WO TADAP RAHI THI JUDAI ME MERI.



LEKIN WO THI BEKHABAR MERI US FARYAAD SE,
JAB HUI KHABAR TO RONE LAGI YAAD ME MERI.


AE KHUDA TARAS KHAA HUM DONO KE HAALAAT PAR,
KAR WO JO TUJHE HO MANZOOR,


BAS YEHI DUA HAI TUJH SE MERI…………!

ye jo ham hijr meiN deewaar-o-dar ko dekhte haiN

ye jo ham hijr meiN deewaar-o-dar ko dekhte haiN
        kabhee saba ko  kabhee  naamaabar ko dekhte haiN

        [ hijr = separation, dar = door, saba = wind,
          naamaabar = messanger ]

2.      woh aaye  ghar meiN  hamaare KHuda ki kudrat  hai
        kabhee ham unko, kabhee apane ghar ko dekhte haiN

3.      nazar  lage  na  kaheeN  uske  dast-o-baazoo  ko
        ye log  kyoN mere zaKHm-e-jigar ko dekhtaiN haiN ?

        [ dast-o-baazoo = hands & shoulders ]

4.      tere  jawaahir-e-tarf-e-kulah  ko  kya dekhaiN ?
        ham auj-e-taal'a-e-laal-o-guhar ko dekhte haiN

        [ jawaahir = jewels, tarf = golden belt, kulah = crown,
          auj = height/position, taal'a = luck, laal-o-guhar = diamonds
          & pearls ]