ye jo ham hijr meiN deewaar-o-dar ko dekhte haiN kabhee saba ko kabhee naamaabar ko dekhte haiN [ hijr = separation, dar = door, saba = wind, naamaabar = messanger ] 2. woh aaye ghar meiN hamaare KHuda ki kudrat hai kabhee ham unko, kabhee apane ghar ko dekhte haiN 3. nazar lage na kaheeN uske dast-o-baazoo ko ye log kyoN mere zaKHm-e-jigar ko dekhtaiN haiN ? [ dast-o-baazoo = hands & shoulders ] 4. tere jawaahir-e-tarf-e-kulah ko kya dekhaiN ? ham auj-e-taal'a-e-laal-o-guhar ko dekhte haiN [ jawaahir = jewels, tarf = golden belt, kulah = crown, auj = height/position, taal'a = luck, laal-o-guhar = diamonds & pearls ]
Thursday, 7 April 2011
ye jo ham hijr meiN deewaar-o-dar ko dekhte haiN
Labels:
Mirza Ghalib Poetry
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment